रविवार, 3 मार्च 2024

bachpan ki yaden

Waqt ke sath jindagi kaise badalte Hain.
 yah ham pahadiyon se poochho.
pahle Jahan ghanton Pani ki line mein Lage rahte the.
 Jahan Pani lene ke liye Raat Raat bhar jage rahte the.
 khud Ko bhi pura karna hai.
aur gay bhaison ke liye bhi.
 Pani sar mein bartan mein bharkar lana hai.
 vah aaj yaden Bankar rah gai.
 waqt ke sath jindagi bhi Badal gai hai.
Kitna khubsurat din the.
 Jahan din bhar kam mein biji rahata tha.
 aur sham ko pani bharane ke liye jate the.
 sab gaon wale aapas mein mil jaate the.
 Aaj pata hi nahin chal raha Kaun ka ha.

phadan

Pahadan ki jindagi ki shuruaat.
 khuli kitab pane ki tarah hoti hai.
jismein har koi apni pen se.
 kuchh Na kuchh likhkar chala jata hai.
Koi khubsurat lamhon ko use kitab mein likhe jaate Hain.
 to koi jivan ki kathinaiyon ko usmein chod  chala jata hai.
ek pahadan ki jindgi me bs uska dukh uski presaniya uske kismat me  hoti hai.

khubsurati

Mujhe ine vadiyon se bhi pyar hai.
 utna pyar hai jitna mujhe khud se pyar hai.
 Na ine khubsurat vadiyon ko chhodana chahte hu.
 aur nahin Apne Dil ke armaanon ko maarna chahte hu.
 Yah wadiyo ki khubsurti to mere man mein basi hai.
 lekin Dil ki lalsa bhi duniya dekhne ki hai.

bachpan ki yaden

Waqt ke sath jindagi kaise badalte Hain.  yah ham pahadiyon se poochho. pahle Jahan ghanton Pani ki line mein Lage rahte the.  Jahan Pani le...