शुक्रवार, 19 मई 2023

lamhe

Jindagi ki khubsurat lamhon ko.
man mein Sambhal ke rakhna hai jindagi ke har pal ko..
 khubsurti ke sath jina hai..
 Sukh dukh to do phlu hai jindagi ke..
 ek ke Bina dusra adhura hai jindagi mein..
 jindagi to hai Lekin..
khubsurat lamhon ko ham bharate Hain jindagi mein..

बुधवार, 19 अप्रैल 2023

love

Prakriti se pyar to mujhe Bachpan se hi hai.
 kyunki is prakrutik khubsurat ko dekhte hi main badhi Hui hun.
 jindagi ki khubsurti to ham Safar se milati hai.
use khubsurti aur use pyar Ko mahsus karna chahte hai.
 jindagi ko pyar ke sath jina chahte hu.
 Kitna khubsurat ehsas hota hoga Na.
jis ehsas ko mahsus karke.
 man than aur jivan khushhal hota hoga.

रविवार, 2 अप्रैल 2023

jangl

Din ki  khubsurti to bhut pyari lgti hai.
 kabhi mahine bhar Raat Gujar ke to dekho in  pahadon mein.
 kya hai ine pahadon ki hakikat.
Jo din Ko to man Laga dete Hain.
 lekin Raat Ko man Ko hila dete Hain.
kabhi aana hamare pahadon ke ghanghor jungle mein.
Jahan कभी-कभी din mein bhi Dil ka daure ki sambhavna rahti hai.
 Raat ka to kya kahana.

Uttarakhand ke hakikat

Pahadon ki hakikat Negi ji ke ganon mein dikhti Hain.
 Jahan har chhoti badi baat khubsurat se batai gai hai.
 chahe pyar Ho jaaye rishtedar Ho.
 chahe riti riwaj Ho chahie ladai jhagada Ho.
 har baat ko Negi ji  ne khubsurat se bataya hai.
 hamare Uttrakhand ke hakikat.
Khubsurat baten Negi ji ne apne ganon mein bayan ki..

hkikat

Tarif hai to har koi kar raha hai hamare Uttrakhand ki.
dikha to har छोटी-छोटी chij rahe hain phone mein.
 ine pahadon ki lekin rahana koi nahin chahta hamare ine pahadon mein.
 do din Aakar video to sab banaa rahe hain.
 lekin hakikat hamare gaon banjar per rakhe hain.

khubsurat

Khubsurat pehnawa hai ine pahadon mein.
 थोड़ी-थोड़ी duri per अलग-अलग pahnawa.
 aur khubsurat kapdon ka najara dekhne Ko milta hai.
 khubsurat kapdon ke sath khubsurat gahne jo pahadan ki khubsurti ko aur badha deta hai.
 ine pahadon ka pehnawa hi.
hamari bahadan ko alag roup aur alag khubsurti deta hai.

phadi

 jindagi jina har kisi ki bus ki baat nahin Hai.
 pahadi jindagi ke liye pathar jaisa majbut Banna padta hai.
 har chij ke liye Insan ko khud Ko majbut banana padta hai.
mansik roop se aur sharirik roop se har chij se pahade ko majbut Banna padta hai.
2 din ki khubsurti to sab dekhte hain.
 pahadon ki lekin jindagi bhar kaise rahana Hai.
 pahadon mein yah Ek pahadi se poochho.

khubsurat to hai

 din ki khubsurti aur.
 do din ki tarif to koi bhi kar leta hai.
 lekin jise jindagi bitani hai.
usko poochho na ki ine pahadon ki hakikat kya hai.
Prakrutik khubsurti se to bharpur hai.
Lekin jivan yapan ke liye kuchh nahin hai.
Jindagi to khubsurat hai lekin jina kaise hai aur kis liye hai iska koi rasta nahin hai

शुक्रवार, 31 मार्च 2023

pahadan

Mahadev ne ham pahadon Ko itna majbut banaya hai.
 ham pahadan ko pahad mein har kam majbuti se karte Hain.
 kisi bhi kam ke liye aadmiyon per nirbhar nahin rahte hai.
 Mahadev ne ham pahadon mein itne majbut banaya ha.
itna sahasi banaya hai.
ine pahado per rahana  Khana aapna jeewan yapan ke liye.
 ham pahadan koSabse aage rahte hain

गुरुवार, 30 मार्च 2023

pahadiyo ki subh

Mahadev ne hamen Aisa banaya hai ki.
ham jaise pahadiyon ki subb yoga ya Jim se nahin.
 ham Jaise pahadon ki subah gay bhes ki dekhbhal aur dudh nikaalne se Hoti hai.
Ham jaise pahadiyon ki subah jungle jakar ghas Lene se Hoti hai.
Ham Jaise pahadon ki subah Jungle jakar lakdiyon lane se bhi hoti hai.
Ham Jaise pahadiyon ki subah chulhe mein roti pakane sabji banane se Hoti hai.
Ham jaise pahadiyon ki subah kheton mein gobar fenkane se bhi hoti hai.

mhadev

Mahadev ne jindagi bahut Sangharshmy banai hai.
 har छोटी-छोटी baton mein khushiyan bhi Dali hai.
 dukh chahe kitne bade rahe usmein chhoti si khushiyan bhi dali hai.
 Jaise बड़े-बड़े pahadon mein 
chhoti chhoti khubsurat ghatiya bhi banai hai.
Mahadev Jaise Himalaya parvat mein
 har dukh mein chattan ki tarah Khade rahte hain aur
Khush rahte the hai.
 Mahadev ne ham pahadiyon Ko bhi apni tarah Sangharsh my banaya hai.

bachpan ki yaden

Waqt ke sath jindagi kaise badalte Hain.  yah ham pahadiyon se poochho. pahle Jahan ghanton Pani ki line mein Lage rahte the.  Jahan Pani le...